Pages

kabhi kabhi

Hello'
Really kabhi kabhi aisa lagtha hai ki kya life hai yaar her kaam ke liye kitna tension ho jaata hai, apne aapko adjust kerte raho apno ke liye , khushi bhi hoti hai ki agar hum is jagah her kaam ke liye naa ker de tho.....
Waise riste nibhana , ghar chalana , bacche paalna, sabhi ke saath haste hue chalte jaana koi mamooli baat nahi hai, ek sahi housewife bane rahna our nibhana ek bahuth hi muskil job hai, agar koi is baath ko samaj saktha hai tho khud ek housewife hogi
Ek aurat agar job kerti hai tho bhi usko ghar tho sambhalna hee padtha hai,wo kerthi haiwoh saare kaam kerthi hai jo ek housewifw kerti hai , ye ek aurat ki khasiyath hai ki wo bina bole bina shikayath kiye ghar ka baaher ka saara kaam apne jimme leker ristho ko nibhate hue kerthi rahthi hai.....
Aurat ghar ki taakat hothi hai agar thoda pyaar our thodi help apno ki help mil jaaye tho wo apne ghar ko our apno ko wo jannath ki jindagi dethi hai.

Aurat jisse duniya chalthi hai, uski ijjath kerna sikho.

Jai jinendra.

No comments: