Aaj main jo sangeeth sandhya anchoring ke baare main likhne jaa rahi hoo, wo ek non-stop sangeet sandhya hai.....
Ya we have to start with Ganesh vandana....
Then aisa ek group boys and girls ka jinhone dance prepare kiya ho , aur kum se kum 12 log hone chahiye , aur is tarah se prepare kiya ho ki beech main 2, 4 log jaate rahe aur 2, 4 log aate rahe,, jisse non stop hone ke kaaran koi bhi tired naa ho....
Anchor kuch iss tarah se start karein...
Anchor---- Swagath hai aap sabka iss anokhi sangeeth main jisme baathein jyada nahi ,dhamaal
jyada hoga kyuki hamare dulhe raja jo aaj ke jaamane ke hai unhe slow nahi fast life pasand hai,
Tho Baatein kum kaam jyada kerte hue unhi ke friends ka dhammaal dekhte hai......
Is tarah se start kerke kum se kum Half an hour tak non stop gaane pe jordaar dance hone chahiye......Hum kuch is tarah ke gaane le sakte hai....
1. Aaj khushi ka din hai aaya nikla muhurth changa bhi..... [ half song ]
2.Make some noise for the desi boyz....
3.Chammak challo.....
4.Character dheela hai...
5.Dhink chika
Is tarah ke 10 to 12 songs ke chote chote parts leker ek CD bana dijiye ....
Jub takk inka non stop dance chaltha rahega ,public ko waha se hilne ka mann nahi hoga chahe tho isko 1 hour tak ker sakte hai aur jyada logo ko dance main shamil kiya ja saktha hai.....
Is sangeeth main anchoring ka kaam jyada nahi hai.... per aakhir main dulhe dulhan ka ek dance kerwa sakte hai....
Is dance ke pehle khubsurath si kuch lines boli jaa sakthi hai.........
Anchor---
Mind blowing performance by friends and friends .......Aapne dekha ki hamaare dulhe ke jitne dostho ne yahha dance kiya , sabhi ke sabhi rock star nikle......Isliye phir se ek thaliyo ka round tho bantha hai yaar...tho jhordaar thaliya inke liye phir se bajaa dijiye................
Ab jub dosth itne rock star hai tho sochiye .....sochiye .......sochiye mera ishaara kis taraf hai....
ekdum sahi socha aapne ki dulhe raja tho ..........aur inki pasand yani ki dulhan ...wo bhi tho dulhe ki pasand hai tho kya kehte ho....... ho jaaye inka bhi ek dance ............
lijiye is baar tho thaliyo ki gunj tho jhordaar honi hi chahiye kunki aa rahe hai dulhe raja apni dulhan ko leker...............
Yahaa per koi bhi ramantic remix dono se kerwa sakte hai...
Isi ke saath alwida kerte hue sabhi ko dance ke liye ya dandiya ke liye invite kerke open for all
kerke , sab sath mein dandiya ka majaa le sakte hai....
By
Nisha Tated
Jai jinendra.