SHIKAYTEIN BAHUT AA RAHEE HAI ? KAHAN GAYE HAMAARE BLOG , KAISE LIKHE , KAISE UPLOAD KAREN ?
“ The blogs are there. Maloom hai kya hua ? Bloggers log
Khoob blog likhte they. Moderator padh padh ke bore ho
Gaye . Pahunche seedhe software engineer/manager ke paas
Aur kehne lage, bhai blogger log hamein bahut tang karte
Hain , jane kahan kahan se subject chun chun ke laate hain
Aur likh likh kar choubison ghante padhvaate hain , na sone Dete hain na jagne dete na baithne dete hain . Ajeeb musibat Mein daal rakhe hain .inse hame bachao.
Aur aage kehne
Lage toom hee hamare naarad ho ,tum tum gyan visharad
Ho, inn bloggero se bachao . To kehne laga software
Engineer/manager mujhe chane ke jhadh par chadha rahe
Ho? Khair tum log chane ke baare mein nahee jante ho.
Kehne laga vainse chana hai bade kaam ki cheez aur
Takdeer vaala , chana khakar ghoda “famous” ho gaya ,
Sabhee alternatoron , genratoron aur motoron par apna
Naam(hp) likhwa liya.aur aage kehne laga chalo kisi din
Mere saanth khet par bilkul subah subah aur phir dekho
Kaise dikhte hain kohre aur ooss mein hariyali bhare chane
Ke paudhe ? Chane ki bhaajee to tumne khayee hogee khet
Mein jab bhookh lagi hogi . Aur aage bhee khaayee hogee
Ghar mein laakar kachchee namak ke saanth , phir aage
Khaayee hogi pakakar makke ki roti aur ek do mirch ke
Saath. Phir kehne laga ho gaya tumhaaree samasya ka
Nivaaran , ab mein dikhaunga apne software ka khel , blog
Page ko banaunga chane ka ped , aur usmein lagaunga patte
Boote daali aur phool. Dekh lo bhai new blog page ka
Header bilkul ainse hee dikhta hai kee nahee. Aur baankee
Links dikhte hain jainse patte boote daali aur phool .
Aapkee samasya ka niwaran yeh hai
Rediff page kholiye aur klick kariye “more “ ko phir klick
kariye “ blog “ ko phir klick kariye “my blog” ko
Iske baad apna id aur paasward dijiye aap pahunch gaye
apne blog par. Vohan par chane ke bell boote bane honge.
“posts” ko klick karne se aapkee blog kee hui post 15 ya 20
ke group mein dikhengi. Harek ke neeche 3ya 4 links
banee huyee hai . Jainse edit/ /view.
Yehan par suppose view ko klick kiya to aap uss post ko
poora dekh payenge.
Suppose edit ko klick kiya to aap kuchh change kar sakte ho.
courtesy by;http://blogs.rediff.com/understoods/
Bye
No comments:
Post a Comment