Pages

Dosti

Hello,

Dosti ki hai ek accha dost samajker,
Pyar na samaj lena agar hum rakhe samne dil kholker||


Kasam se maine tho dosti ki thi aap pyar samaj baite|
na pyar mila na dosti rahi , hai ye kya ker baite||


Mere sabse acche dost hai ye pen aur diary,
jisse aur jispe likha kerti hu main shayari||


Agar aapki aankho main aansu hoge tho koi saath na dega|
haste hue agar jo mitha bologe tho jamana jukega||


'MANN' kahi bhi panchi ki tarah udker tumhare paas chala aata hai|
Ye bemann wala tann jinda laash ki tarah tadapta rah jatha hai||


Suraj ne roshni ka , chaand ne chandni ka, nadiyo ne paani ka kiya hai ' samarpan'|
Kya humne aaj tak kisi ko kuch bhi kiya hai' arpan'||

No comments: