Pages

Hindi shayari

Hello,

kuchh tabiiyat hii milii thi aisii
cha'in se jeene ki suurat na huii
jisko chaaha usey apnaa na sakey
jo milaa uss se mohabbat na huii

jaate jaate woh mujhe aisi saza-yen de gaya
keh ke khuda haafiz jeene ki duaa-yen de gaya
gam-e-hizr,dard,do ashq,chaar umeedein
kaisi kaisi woh mere dil ko balaa-yen de gaya
saari bahaarein le gaya mohabbat ke chaman ki
ulfat ke baag ko gam ki hawa-yen de gaya
saada-dil "maikasH" ko woh shayar bana gaya
lafzon ko ghazalon mein perone ki adaa-yen de gaya


Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.


"पोंछ कर अश्क अपनी आँखों से मुस्कुअराओ तो कोई बात बने,
सर झुकाने से कुछ नहीं होगा सर उठाओ तो कोई बात बने"


kuchh tabiiyat hii milii thi aisii
cha'in se jeene ki suurat na huii
jisko chaaha usey apnaa na sakey
jo milaa uss se mohabbat na huii


http://www.shayri.com/forums/showthread.php?p=264680

Bye

Jai jinendra

No comments: