Pages

Ek najar

Kabhi kabhi ek nazar hi kafi hoti hai kuch likhne k liye...magar kabhi kabhi yun bhi hota hai ki...dil ka jaam is kadar bhara hua hota hai ki tham tham chalna padta hai ahesaasoN ki dagar pe...!



Tumhari ek nazar k maaine, mai kya likhu
ibaadat, aashiqi ya pyar ka dariya likhu

har shab aur har subaha jaise naye tum ho
Nayi nazar, naya asar ya naya nazariya likhu

nazar k saamne door taq koi raasta jo hai
teri mehfil, meri manzil ya faaslaa likhu

tumhare liye bas tumhare liye jine lagi hu
ab tumhe maqsad, muhobatt ya zariya likhu

ab jo hai likh diya humne humare darmiyaa
ise qurbat, chahat ya wqt ka likhaa likhu

Nahi milti tumhari shakhsiyat kisi insaan se
tumhe khuda likhu ya khuda ka farishta likhu

Tumhari ek nazar k maaine, mai kya likhu
ibaadat, aashiqi ya pyar ka dariya likhu

Bye
Jai jinendra

No comments: