Pages

Mohabbat hai

Kon rakh ta hai yaad naamo ko,
logh chaharo ko bhool jatey hai,
tum samader kee baat karti ho,
logh ankho mein doob jatey hai,
________________________________
Mohabat jisney ker ni ho.
wo mohabat kya janey,
Mera dil tumhi ab bhi chahata hai...
teray dil ko khuda jaanay!!
--------------------------------------------------
Shareefo mein koyi chor nahi hotha
Kavvo mein koyi mor nahi hotha
Naya patang ko koyi dor nahi hotha
Naya patang ko koyi dor nahi hotha
Arre yaaro... ishq par koyi zor nahi hotha" !
--------------------------------------------------
Mere dil mein mohabbat yaar ki
Aankhon mein chamak pyaar ki
Dil mein dhadkan mehboob ki
Aur yaadon mein yaad aap ki
--------------------------------------------------
Teri Ik jhalak ke liye tarapna
Pyaar mein hadh se guzarna
Har ek ada pe teri marna
Aye dil, yeh mohabbat nahin to kya hai
--------------------------------------------------
Mohabbat sabhi karlete hain
Dilbar ke dil mein dhadakna aasan nahin
Vaade sabhi karlete hain
Unhe Nibhana aasan nahin
Pyar mein dil sabhi jeet lete hain
Magar dil har ke jeetna aasan nahin
Zindagi mein to sabhi pyar karlete hain
Pyaar mein ise qurban karna aasan nahin
--------------------------------------------------
Banane mein mazaa hai wo karkhaane jaanthe hai
Pilane mein jo mazaa hai wo meh khaane jaanthe hai
Jalne mein jo mazaa hai wo parwaane jaanthe hai
Arre yaaro pyar mein jo mazaa hai wo deewaane jaanthe hai
--------------------------------------------------
Dil ne jiska naam liya uska daman tham liya,
Jab jab dard utha hai dil mein maine to tera naam liya,
Is bhari duniya mein koi bhi hamara nahi hua,
Gair to gair the apno ka bhi sahara na hua!!
--------------------------------------------------
ek masoom si gheri khai hai
jisse dil ka nam bhi detey hain
is khai main apnaiat hai
issey log mohabbat kehte hain
apnaiat main ek saya hai
tasweer jissey ham kehte hai......
us saye main jo tasweer hai
wo teri hai sab kehtey hain
------------------------------------------

No comments: